Love Quotes Urdu

we have mention some top love quotes of Urdu in english :

1. “Is baat se darte rehna k kahin ahtram main kami na ho, mohabbat kehlata hai.”

 

2. “Mohabbat main had se tajwaz karna ishq kehlaata hai.”

 

3. ” Mohabbat wo tehniyan hain jinhe dilon main lagaya jata hai. Aur in par inki aqlon k mutabiq phal ata hai.”

 

4. ” Muhabbat ye hai k khawah kuch bhi ho tu mohabat ko tark na kare.”

 

5. ” Mujh tou us shakhs pr tajub hota hai, jo ye kehta hai k main ne apne mehboob ko yaad kia. Main tou usay kabhi bhoolta hi nahi hoon k yaad karne ki zarurat pare.”

 

6. ” Mohabat ka ek umda pehlu ye hai k ye fikar karne ki aadat daalti hai.”

 

7. ” Muhabat insan ko shayar banati hai, khawah pehle us ne shayari ka naam bhi na suna ho.’

 

8 . “Jis ne bhi mohabbat ki, pehli nazar main nahi ki.”

 

9. “Aaj ki dunia main suchi muhabt karne walon ka milna ek moajza hai.”

 

10.” Main fashion ki chamak dhamk aur chori chupe ke pyar ke meethe zehar ko brdashat nahi kr sakta.”

 

11.  “Mujhe apni mohabt ka adraak hai aur mujhe khushi hai main ek esi shay main gharaq hoon jo azeem hai.”

 

12. ” Kitni afsos naak baat hai k insan k haseen tareen jazbaat bhi paise se wabasta hain.”

 

13. ” Mohabbat ka ek ghanta, be mohabat ki 100 bars ki zindagi se behtar hai.”

 

14. “Muhabat ek esi shay hai jo seekhne aur batane ki nahi.”

 

15. “Nafrat, nafrat se nahi mit’ti balke mhabat isy khatm krti hai.”

 

16. ” Agr dunia main ek bhi mohabt krne wala baqi na rahe tou aaftab apni hararat kho bethy.”

 

17.” Jab mohabbat kamil ho jati hai tou adab ki shart gir jati hay.”

 

18. “Jahan muhabbat patli ho wahan ayeb motay nazr aty hayn.”

 

19. “Dushmano ko bhi pyar karo kyunke agr sirf chahne walon ko chaha tou ye tijarat hoi.”

 

20. “Insan kabhi kisi k liye itna zrori nahi hota jitna wo guman kar leta hai.”

 

21. “Ek lafz zindagi k sare tanao aur dard se azad kar deta hai. Aur wo lafz mohabbat hai”

 

Friendship Quotes Urdu

Read some friendship quotes of urdu in english :

1. “Waqt ki yaari to har koi karta hai Mere Dost !

Maza to tab hai jab waqt badal jaye par yaar na badlein”

2. “Dost ho ya parinda donoo ko azaad chor do laut aya

Tw tumhara na laut ke aya tw tumhara kbhi tha hi nahi .”

3. “Hamesha sache logon se dosti rakho kyun keh

Woh ache dino main sarmaya aur buray dino main muhafiz hote hain “

4. “Dost ko dolat ki nigah se mat dekho

wafa karne walay dost aksar ghareeb hote hain”

5. “Doston ki zindagi main is namak ki trah raho

Jo khane Main to Dikhai Nahi Deta

Lekin agar na ho to is ki kami zaroor mehsos hoti hai”

6. “Apnay waqt se zyada acha dost azeez rkho

kyun keh acha dost buray waqt ko bhi acha bna deta hai “

7. “Sacha, acha aur behtreen dost woh hota hai

Jo khud to aap ko jo marzi kahe magar jab

jab koi aur aap ko kuch kahe to is waqt woh aap ka

Sab se bara haami ho .”

 

8. “Dosti bhi wohi achi hoti hai

Jis main bolney se pehly sochna na parey”

9. “Dost woh hai jo ghum ko kum kar de

Aur khushi ko zyada .”

10. “Mukhlis dost k ander piyar chupa hota hai

Jaisy aik choty sy beej k ander pura drakht chupa hota hai .”

11. “Har is dost par bharosa karo jo

Mushkil main tumhare kaam aya ho .”

12. “Beshak apni har cheez achay dost ke lye qurban kardo

Lekin kisi cheez ke liye apne achay dost ko qurban mat karna.”

13. “Jo shakhs tum pey ghusa bhi karay aur taluq bhi khatam na rkey

Tw woh buray waqt main tumhara sab se acha dost hai .”

14. “Sache dost khushiyun main zenat

Aur pareshaniyon main sahara hote hain .”

15. “Dost beshak aik ho magar aisa ho

Jo alfaz se zyada khamoshi samjhe.”

16. “Haqeeqi dost woh hai jo aap ki traf is waqt aata hai

Jab sari dunya aap ko chor chuki hoti ha.”

17. “Kabhi apnay dost ki sachai ka imtehan na lo

kya pata is waqt woh majboor ho aur tum aik acha dost khoo betho . “

18. “Dost ki galti rait par likho ta keh pani usy mita de

Aur dost ke Aihsan pathar par likho ta keh koi usy mita na sake.” 

19. “Dosti main dooriyaan to aati rehti hain

Phr bhi dosti diloon ko mila deti hai

Woh dosti hi kya jo naraz na ho

Par sachi dosti dosto ko mana leti hai  “

20. “Jo shakhs tumhare samne karwi se karwi baat

keh de wahi sab se acha dost hai.”

 

Breakup Quotes Urdu

Read breakup quotes  of Urdu in english :

1. “Itnay Khamoosh hugy hum

 Kay cheekh uthogy tum.”

2. “Jab tm ko lagy tm mery hu

Phr deer na krna any main.”

3. “Roz thakta hu kr kay murammat apni

Roz aik nuqs naya mjh mai nikal ata hai.”

4. “Koi mar jaye tw sabar ajata hai

Bichar jaye tw kyu nahi ata.”

5. “Isnay kaha bta kese smjho tere dard ko

Main nay kha ishq kar bohat kar intiha kr Aur haar ja.”

6. “Do qadam sath na de skay

Zindagi kia guzarty tum.” 

7. “Kabhi yak ba yak tawajah kabhi dafatan tagaful

Mjhe azma rha hai koi rukh badal badal kr.”

8. “Dil ki wehshat brhny lagi hai

Har arzoo ab marny lgi ha.”

9. “Baat huti nahi hai jab tjh say

Aesa lgta hai din adhora hai.”

10. “Tjh say kch mangny nahi aya

Mera maqsad faqt ziyarat hai.”

11. “Meri Madhoshiyan bhi jaaiz thi

Wo Saara sharab jesa tha.”

12. “Jesay Dunya mai koi tha hi nahi

Haye raaten teri judai ki.”

13. “Yaani ab tum ko bhi in main shumar huna hai

Log jitney bhi dil say utar gye merey.”

14. “Mere lye tw ye bhi aziyat ki baat thi

Tjh ko bhi hal-e-dil sunana para mjh ko.”

15. “Geroon ko bhi krty hu muhabbat say isharay

Kia itni kaafi nahi toheen humari.”

16. “Nahi ha humara haal Kch tmhary haal say alg

Bus frq itna hai Tum yaad krty hu hum bhool nahi paaty.”

17. “Jhoot,fareeb,takabbur,maghroriat Zameer kay soday

Insaan itna sasta phly kabhi nahi tha.”

18. “Tum say rooth jana Aur phr bhi musalsal tmhe sochna

Aesi hi muhabbat hai meri.”

19. “Dhondogy kisi roz mjhe

Bebasi kay saath.”

20. ‘Jo ilzaam rehjaye

Wo meray kafan pe likhna.”

Life Quotes Urdu

Read the best life quotes of Urdu in English :

1. “Agar tum ne har haal main khush rehne ka fun seekh lia hai tou yaqeen karo zindagi ka sab se bara fun seekh lia hai.”

2. “Agar tum ameer ban’na chahte ho tou apni fursat zaya na karo.”

3. “Zindagi ka ek maqsad bana lijye phir sari quoaat iske hasool par sarf kar den, aap yaqeenan kamyaab hoon ge.”

4. “Khud aetmaadi kamyabi ka sab se bara raz hai.”

5. “Mere khayal main moat takleef dah hai lekin itni nahi jitni k zindagi.”

6. “Khubsurti ki talash main hum chahe puri dunia ka chakar lga ayen, agr wo hamare andar majood nahi tou kahin nahi mile gi.”

7. “Jitna bara shehar ho, utni hi bari tanhai hoti hai.” 

8. “Zindgi main kaamyabi k waaste pehli zarori shart ye hai k hum hewanaat ki tarah haleem, sabir aur mehnatkash hun.”

9. “Insan ki zindagi itni kum hai k woh mohabbat ka haq bhi ada nahi kar skta. Jane log nafrat k liye waqt kahan se nikaal lete hain.”

10. “Jo cheez hasil nahi ho sakti iski khwaish karna fazool hai.”

11. “Hyatt moat ki ibtada hai, aur moat, Hayat ki ibtada.”

12. “Bare aadmi zindagi main kum aur kitaabon main zyada milen ge.”

13. “Dolat ki numaish wohi log krte hain jinke paas dolat k siwa aur kuch bhi nahi hota.”

14. “Wo shakhs jald hi mar jaye ga jo sirf apne liye zinda hai. Woh shakhs kabhi nahi mare ga jo dusron k liye zinda hai.”

15. “Zindagi is liye haseen lagti hai k is main moat ka khof shamil hota hai.”

16. “Kuch log zindagi bhar soye rehte hain jab marte hain, tb jagte hain.”

17. “Jahan roshniyon ki kasrat ho wahan saaye bhi zyada gehre hote hain.”

18. “Agar zindagi k raste main kante botay jao ge, tou tumhari apni ane wali. naslen is raste par lahoo lohan ho jayen gi.” 

19. “Umeen Adhi Zindagi hai aur mayoosi Adhi moat hai.”

20. “Umeed, tamana aur khawahish na rahen tou insan moat se hi guzar raha hota hai.”

Read more : 50+ Naruto Quotes on Love, Life and Friendships

Motivation Quotes Urdu

Read some of the best motivation quotes of Urdu in english :

1. “Manzilain hamesha un hi ko milti hain

Jo manziloon ko talash karte hain.”

2. “Apni kal ko behtar krny ke lye

Apni aaj Sanwaaro.”

3. “Behtreen dino ke lye

Bury dino se larna Parta hai.” 

4. “Haar aur Jeet tw Apny Andr huti hain

Maan lo tw Haar hai , Thaan lo tw Jeet hai.” 

5. “Manzil se agy brh kr manzil talash kar

Mil jaye tjh ko drya tw samandar talash kar.’

6. “Jo yaqeen ki raah par chl pary inhen Manzilon nay panah di

jinhen waswasoon Nay draya wo qadam qadam pe behak gye.”

7. “Agar Saabit Qadam hu tw

Rasty khud ba khud niklty Hain.”

  1. “Har woh cheez jo insaan Soch skta hai

woh haqeeqat ban skti hai.” 

9. “Toun ne jab phool kitabon se nikalay hon gay

Dainay wala bhi tumhain yaad tou ayaa ho ga.”

10. “Apki manzil wha tak hai

Jha tak ap himmat nahi haarty.”

11. “Tumhari kamyabi Tumhari khud

aetmaadi main posheeda hai.”

12. “Kamyabi Bazaaron main Nahi bikti Bulky

Insaan apny azm o hosly say Hasil krta hai.”

13. “Zindagi mai jo log koshish nahi krty

wo Kabhi kamyaab nahi huty.” 

14. “Ghlti isy say huti hai jo mehnat krta

Nikammon ki zindagi tu dosroon ki ghltiyan Nikalny main guzar jati hai.”

15. “zindagi ko smjhna hai Tw pechy dekho

Aur Zindagi ko jeena hai tw Agy dekho.” 

16. ‘Agar zindagi mai kamyab huna chahty hu Tw

apni zindagi se agr magar ko nikaal do.”

17. “Waqt say pehly Aur qismat se zyada kabhi kbhi kisi ko nahi mila hai

is liye Waqt apka hai chaho tw sona banalo Aur agar Chaho tw sone mai guzaar do.”

18. “Kamyabi bahadoron ka saath deti hai.”

19. “Pareshani halaat say nahi

Kahayalaat say peda huti hai.”

20. “Din ko istrah na dekho tum nay kia paya hai

Balkay ye socho kay aj tum nay kia boya hai.”

We hope you liked our collection of Urdu quotes. Let us know in the comment section which one is your favourite.

Leave a Reply

Your email address will not be published.